har  har  saañs  na.ī  ḳhushbū  kī  ik  aahaT  sī  paatā  hai
ik  ik  lamha  apne  haath  se  jaise  niklā  jaatā  hai
din  Dhalne  par  nas  nas  meñ  jab  gard  sī  jamne  lagtī  hai
koī  aa  kar  mere  lahū  meñ  phir  mujh  ko  nahlātā  hai
saarī  saarī  raat  jale  haiñ  jo  apnī  tanhā.ī  meñ
un  kī  aag  se  sub.h  kā  sūraj  apnā  diyā  jalātā  hai
maiñ  to  ghar  meñ  apne-āp  se  bāteñ  karne  baiThā  thā
an-dekhā  sā  ik  chehra  dīvār  pe  ubhrā  aatā  hai
kitne  savāl  haiñ  ab  bhī  aise  jin  kā  koī  javāb  nahīñ
pūchhne  vaalā  pūchh  ke  un  ko  apnā  dil  bahlātā  hai
kis  ko  sazā-e-maut  milegī  ye  kaisī  hai  bhiiḌ  lagī
aur  kyā  us  ne  jurm  kiyā  thā  koī  nahīñ  batlātā  hai