Khalilur Rahman Azmi

kahan kho gai ruh ki raushni

Khalilur Rahman Azmi

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1927-1978
kahāñ kho ga.ī ruuh kī raushnī
batā merī rātoñ kī āvārgī
maiñ jab lamhe lamhe kā ras pī chukā
to kuchh aur jaagī mirī tishnagī
agar ghar se niklūñ to phir tez dhuup
magar ghar meñ Dastī huī tīrgī
ġhamoñ pe tabassum kī Daalī naqāb
to hone lagī aur be-pardagī
magar jāgnā apnī qismat meñ thā
bulātī rahī niiñd kī jal-parī
jo ta.amīr kī kunj-e-tanhā.ī meñ
vo dīvār apne hī sar par girī
huī bārish-e-sañg us shahr meñ
hameñ bhī milā haqq-e-ham-sā.egī
gizārī hai kitnoñ ne is tarah umr
bil-aqsāt karte rahe ḳhud-kushī
koī vaqt batlā ki tujh se milūñ
mirī dauḌtī bhāgtī zindagī
jinheñ saath chalnā ho chalte raheñ
ghaḌī vaqt kī kis kī ḳhātir rukī
meñ jiitā to paa.ī kisī se na daad
meñ haarā to ghar par baḌī bhiiḌ thī
huā ham pe ab jin kā saaya harām
thī un bādaloñ se kabhī dostī
mujhe ye añdhere nigal jā.eñge
kahāñ hai tū ai mere sūraj-mukhī
nikāle ga.e is ke ma.anī hazār
ajab chiiz thī ik mirī ḳhāmushī
Top Urdushayar.com