kahāñ  kho  ga.ī  ruuh  kī  raushnī
batā  merī  rātoñ  kī  āvārgī
maiñ  jab  lamhe  lamhe  kā  ras  pī  chukā
to  kuchh  aur  jaagī  mirī  tishnagī
agar  ghar  se  niklūñ  to  phir  tez  dhuup
magar  ghar  meñ  Dastī  huī  tīrgī
ġhamoñ  pe  tabassum  kī  Daalī  naqāb
to  hone  lagī  aur  be-pardagī
magar  jāgnā  apnī  qismat  meñ  thā
bulātī  rahī  niiñd  kī  jal-parī
jo  ta.amīr  kī  kunj-e-tanhā.ī  meñ
vo  dīvār  apne  hī  sar  par  girī
huī  bārish-e-sañg  us  shahr  meñ
hameñ  bhī  milā  haqq-e-ham-sā.egī
gizārī  hai  kitnoñ  ne  is  tarah  umr
bil-aqsāt  karte  rahe  ḳhud-kushī
koī  vaqt  batlā  ki  tujh  se  milūñ
mirī  dauḌtī  bhāgtī  zindagī
jinheñ  saath  chalnā  ho  chalte  raheñ
ghaḌī  vaqt  kī  kis  kī  ḳhātir  rukī
meñ  jiitā  to  paa.ī  kisī  se  na  daad
meñ  haarā  to  ghar  par  baḌī  bhiiḌ  thī
huā  ham  pe  ab  jin  kā  saaya  harām
thī  un  bādaloñ  se  kabhī  dostī
mujhe  ye  añdhere  nigal  jā.eñge
kahāñ  hai  tū  ai  mere  sūraj-mukhī
nikāle  ga.e  is  ke  ma.anī  hazār
ajab  chiiz  thī  ik  mirī  ḳhāmushī