Atif Khan

ek wo hi shaKHs mujhko ab gawara bhi nahin

Atif Khan

Delhi, India

1985
ek vo hī shaḳhs mujh ko ab gavāra bhī nahīñ
jabr ye us ke sivā apnā guzāra bhī nahīñ
shakl-e-hijrat rañg lā.īñ āḳhirash sab koshisheñ
ham agar lauTe nahīñ us ne pukārā bhī nahīñ
jis pe tum ḳhāmosh ho bas ik zarā sī baat thī
baat bhī aisī ki jis meñ kuchh ḳhasāra bhī nahīñ
haiñ ajab dariyā meñ ham jo darmiyāñ se ḳhushk hai
aur ajab to ye kināre par kināra bhī nahīñ
fazl ik bas be-hisī aur shaġhl ik bas ḳhāmushī
ya.anī koī zindagī kā isti.āra bhī nahīñ
aa ke mere ghar kā 'ātif' ye tamāsha dekhiye
mere dar-dīvār ko chhat kā sahārā bhī nahīñ
bas bhī kar 'ātif' ke terī rahbarī se ba.az aa.e
ġhār-e-shab meñ sub.h kā koī sitāra bhī nahīñ
Top Urdushayar.com