Atif Khan

ek wo hi shaKHs mujhko ab gawara bhi nahin

Atif Khan

Delhi, India

1985

ek vo shaḳhs mujh ko ab gavāra bhī nahīñ

jabr ye us ke sivā apnā guzāra bhī nahīñ

shakl-e-hijrat rañg lā.īñ āḳhirash sab koshisheñ

ham agar lauTe nahīñ us ne pukārā bhī nahīñ

jis pe tum ḳhāmosh ho bas ik zarā baat thī

baat bhī aisī ki jis meñ kuchh ḳhasāra bhī nahīñ

haiñ ajab dariyā meñ ham jo darmiyāñ se ḳhushk hai

aur ajab to ye kināre par kināra bhī nahīñ

fazl ik bas be-hisī aur shaġhl ik bas ḳhāmushī

ya.anī koī zindagī isti.āra bhī nahīñ

aa ke mere ghar 'ātif' ye tamāsha dekhiye

mere dar-dīvār ko chhat sahārā bhī nahīñ

bas bhī kar 'ātif' ke terī rahbarī se ba.az aa.e

ġhār-e-shab meñ sub.h koī sitāra bhī nahīñ

Top Urdushayar.com