is  ne  dekhā  hai  sar-e-bazm  sitamgar  kī  tarah
phuul  pheñkā  bhī  mirī  samt  to  patthar  kī  tarah
us  ke  lab  ko  mire  lab  rah  ga.e  chhūte  chhūte
maiñ  bhī  nākām  chalā  aayā  sikandar  kī  tarah
rañg  sūraj  kā  sar-e-shām  huā  jaatā  hai  zard
us  kā  bhī  ghar  na  ho  vīrān  mire  ghar  kī  tarah
dard  us  ahd  kī  mīrās  hai  Darnā  kaisā
dard  ko  oḌh  liyā  karte  haiñ  chādar  kī  tarah
log  har  lamha  badalte  haiñ  nazariye  apne
zehn-e-insāñ  bhī  tavā.if  ke  hai  bistar  kī  tarah
ab  kī  yūrish  meñ  kahīñ  gir  hī  na  jaa.e  ye  fasīl
shor  rahtā  hai  mire  dil  meñ  samundar  kī  tarah
kaisā  is  ahd  meñ  paimān-e-vafā  log  ab  to
dost  har  saal  badalte  haiñ  calender  kī  tarah
lafz  aate  hī  mire  lab  pe  laraz  jaate  haiñ
hāl-e-dil  sunte  haiñ  ab  vo  kisī  afsar  kī  tarah
vahī  pābandi-e-auqāt  vahī  ma.amūlāt
zindagī  ghar  meñ  basar  hotī  hai  daftar  kī  tarah
ho  gayā  ḳhāk-nashīñ  par  ye  jhukā.e  na  jhukā
kisī  sar  meñ  bhī  na  saudā  ho  mire  sar  kī  tarah
'anjum'  is  ahd  meñ  TuuTe  hue  dil  ke  rishte
joḌne  par  bhī  haiñ  udhḌe  hue  collar  kī  tarah