aur  kuchh  yaad  nahīñ  ab  se  na  tab  se  pūchho
merī  āñkhoñ  se  lahū  bahtā  hai  kab  se  pūchho
lamhe  lamhe  meñ  huā  jaatā  huuñ  reza  reza
vaj.h  kuchh  mujh  se  na  pūchho  mire  rab  se  pūchho
vo  to  sūraj  hai  har  ik  baat  kā  sho.ala  hai  javāb
rū-ba-rū  aa  ke  kaho  yā  ki  aqab  se  pūchho
yaad  hai  qissa-e-ġham  kā  mujhe  har  lafz  abhī
haal  jis  dard  kā  jis  rañj  kā  jab  se  pūchho
tai  havā  kaise  añdheroñ  ke  samundar  kā  safar
ġhāza-e-sub.h  se  kyā  chādar-e-shab  se  pūchho
zaḳhm  dekho  mire  talvoñ  ke  na  chehre  kā  ġhubār
mujh  pe  kyā  guzrī  hai  ye  rāh-e-talab  se  pūchho
kitne  sahrā  ki  simaT  aa.e  haiñ  siine  meñ  mire
tishnagī  merī  na  sūkhe  hue  lab  se  pūchho
yuuñ  na  har  chehre  pe  ab  Daalo  savālī  nazreñ
us  ke  kūche  kā  pata  tum  to  na  sab  se  pūchho
mujh  se  kyā  pūchhte  ho  saare  hī  lamhoñ  kā  hisāb
mil  ke  jis  moḌ  se  ham  bichhḌe  haiñ  tab  se  pūchho
harf-e-haq  kahne  meñ  kyā  kyā  na  hue  ham  pe  sitam
pūchhnā  hī  hai  to  bū-jahl  o  lahb  se  pūchho
jumbish-e-lab  kī  tumheñ  bhī  hai  ijāzat  'anjum'
baat  jo  pūchho  bahar-hāl  adab  se  pūchho