terā  ḳhayāl  hai  dil-e-hairāñ  liye  hue
yā  zarra  āftāb  kā  sāmāñ  liye  hue
dekhā  unheñ  jo  dīda-e-hairāñ  liye  hue
dil  rah  gayā  jarāhat-e-pinhāñ  liye  hue
maiñ  phir  huuñ  iltifāt-e-gurezāñ  kā  muntazir
ik  yād-e-iltifāt-e-gurezāñ  liye  hue
maiñ  chheḌne  lagā  huuñ  phir  apnī  na.ī  ġhazal
aa  jaao  phir  tabassum-e-pinhāñ  liye  hue
kyā  bebasī  hai  ye  ki  tire  ġham  ke  saath  saath
maiñ  apne  dil  meñ  huuñ  ġham-e-daurāñ  liye  hue
furqat  tirī  to  ek  bahāna  thī  varna  dost
dil  yuuñ  bhī  hai  mirā  ġham-e-pinhāñ  liye  hue
ab  qalb-e-muztarib  meñ  nahīñ  tāb-e-dard-e-hijr
ab  aa  bhī  jaao  dard  kā  darmāñ  liye  hue
sirf  ek  shrt-e-dīda-e-bīnā  hai  ai  kalīm
zarre  bhī  haiñ  tajlli-e-pinhāñ  liye  hue
maiñ  ne  ġhazal  kahī  hai  jigar  kī  zamīn  meñ
dil  hai  mirā  nadāmat-e-pinhāñ  liye  hue
āzād  zauq-e-dīd  na  ho  ḳhaam  to  yahāñ
har  ā.īna  hai  jalva-e-jānāñ  liye  hue