Jagan Nath Azad

ab main hun aap ek tamasha bana hua

Jagan Nath Azad

Mianwali, Punjab, Pakistan

1918-2004
ab maiñ huuñ aap ek tamāshā banā huā
guzrā ye kaun merī taraf dekhtā huā
kaif-e-ġham-e-firāq kī lazzat jise milī
hāsil use visāl nahīñ hai to kyā huā
ḳhāshāk-e-zindagī to milā us ke saath saath
terā karam ki dard kā sho.ala atā huā
dar tak tire ḳhudī ne na aane diyā jise
āñkhoñ se ashk ban ke vo sajda adā huā
shīrīni-e-hayāt kī lazzat meñ hai kamī
kuchh is meñ zahr-e-ġham na agar ho milā huā
kuchh kam nahīñ hoñ lazzat-e-furqat se faiz-yāb
hāsil agar visāl nahīñ hai to kyā huā
ab is maqām par hai mirī zindagī ki hai
har dost ek nāseh-e-mushfiq banā huā
ye bhī zarā ḳhayāl rahe āzim-e-haram
raste meñ but-kade kā bhī dar hai khulā huā
vo qadd-e-nāz aur vo chehre kā husn o rañg
jaise ho phuul shāḳh pe koī khilā huā
pesh-e-nazar thī manzil-e-jānāñ kī justujū
aur phir rahā huuñ apnā pata DhūñDtā huā
kah kar tamām raat ġhazal sub.h ke qarīb
'āzād' misl-e-sham-e-sahar huuñ bujhā huā
Top Urdushayar.com