ab  maiñ  huuñ  aap  ek  tamāshā  banā  huā
guzrā  ye  kaun  merī  taraf  dekhtā  huā
kaif-e-ġham-e-firāq  kī  lazzat  jise  milī
hāsil  use  visāl  nahīñ  hai  to  kyā  huā
ḳhāshāk-e-zindagī  to  milā  us  ke  saath  saath
terā  karam  ki  dard  kā  sho.ala  atā  huā
dar  tak  tire  ḳhudī  ne  na  aane  diyā  jise
āñkhoñ  se  ashk  ban  ke  vo  sajda  adā  huā
shīrīni-e-hayāt  kī  lazzat  meñ  hai  kamī
kuchh  is  meñ  zahr-e-ġham  na  agar  ho  milā  huā
kuchh  kam  nahīñ  hoñ  lazzat-e-furqat  se  faiz-yāb
hāsil  agar  visāl  nahīñ  hai  to  kyā  huā
ab  is  maqām  par  hai  mirī  zindagī  ki  hai
har  dost  ek  nāseh-e-mushfiq  banā  huā
ye  bhī  zarā  ḳhayāl  rahe  āzim-e-haram
raste  meñ  but-kade  kā  bhī  dar  hai  khulā  huā
vo  qadd-e-nāz  aur  vo  chehre  kā  husn  o  rañg
jaise  ho  phuul  shāḳh  pe  koī  khilā  huā
pesh-e-nazar  thī  manzil-e-jānāñ  kī  justujū
aur  phir  rahā  huuñ  apnā  pata  DhūñDtā  huā
kah  kar  tamām  raat  ġhazal  sub.h  ke  qarīb
'āzād'  misl-e-sham-e-sahar  huuñ  bujhā  huā