jab  apne  naġhme  na  apnī  zabāñ  tak  aa.e
tire  huzūr  ham  aa  kar  bahut  hī  pachhtā.e
ḳhayāl  ban  na  sakā  naġhma  garche  ham  ne  use
hazār  tarah  ke  malbūs-e-lafz  pahnā.e
ye  husn-o-rañg  kā  tūfāñ  hai  ma.āz-allāh
nigāh  jam  na  sake  aur  thak  ke  rah  ga.e
jo  dard  uThe  bhī  to  iz.hār  us  kā  ho  kyūñkar
huzūr-e-husn  agar  āvāz  baiTh  hī  jaa.e
haTe  nazar  se  na  furqat  kī  dhuup  meñ  'āzād'
kisī  kī  sumbul-e-shab  rañg  ke  ghane  saa.e