Jagan Nath Azad

jo dil ka raaz be-ah-o-fughan kahna hi paDta hai

Jagan Nath Azad

Mianwali, Punjab, Pakistan

1918-2004
jo dil kā raaz be-āh-o-fuġhāñ kahnā hī paḌtā hai
to phir apne qafas ko āshiyāñ kahnā hī paḌtā hai
tujhe ai tā.ir-e-shāḳh-e-nasheman kyā ḳhabar is kī
kabhī sayyād ko bhī bāġhbāñ kahnā hī paḌtā hai
ye duniyā hai yahāñ har kaam chaltā hai salīqe se
yahāñ patthar ko bhī la.al-e-girāñ kahnā hī paḌtā hai
ba-faiz-e-maslahat aisā bhī hotā hai zamāne meñ
ki rahzan ko amīr-e-kārvāñ kahnā hī paḌtā hai
muravvat kī qasam terī ḳhushī ke vāste akasr
sarāb-e-dasht ko āb-e-ravāñ kahnā hī paḌtā hai
zabānoñ par diloñ kī baat jab ham lā nahīñ sakte
jafā ko phir vafā kī dāstāñ kahnā hī paḌtā hai
na pūchho kyā guzartī hai dil-e-ḳhuddār par akasr
kisī be-mehr ko jab mehrbāñ kahnā hī paḌtā hai
Top Urdushayar.com