jo  dil  kā  raaz  be-āh-o-fuġhāñ  kahnā  hī  paḌtā  hai
to  phir  apne  qafas  ko  āshiyāñ  kahnā  hī  paḌtā  hai
tujhe  ai  tā.ir-e-shāḳh-e-nasheman  kyā  ḳhabar  is  kī
kabhī  sayyād  ko  bhī  bāġhbāñ  kahnā  hī  paḌtā  hai
ye  duniyā  hai  yahāñ  har  kaam  chaltā  hai  salīqe  se
yahāñ  patthar  ko  bhī  la.al-e-girāñ  kahnā  hī  paḌtā  hai
ba-faiz-e-maslahat  aisā  bhī  hotā  hai  zamāne  meñ
ki  rahzan  ko  amīr-e-kārvāñ  kahnā  hī  paḌtā  hai
muravvat  kī  qasam  terī  ḳhushī  ke  vāste  akasr
sarāb-e-dasht  ko  āb-e-ravāñ  kahnā  hī  paḌtā  hai
zabānoñ  par  diloñ  kī  baat  jab  ham  lā  nahīñ  sakte
jafā  ko  phir  vafā  kī  dāstāñ  kahnā  hī  paḌtā  hai
na  pūchho  kyā  guzartī  hai  dil-e-ḳhuddār  par  akasr
kisī  be-mehr  ko  jab  mehrbāñ  kahnā  hī  paḌtā  hai