ḳhayāl-e-yār  jab  aatā  hai  betābāna  aatā  hai
ki  jaise  sham.a  kī  jānib  koī  parvāna  aatā  hai
tasavvur  is  tarah  aatā  hai  terā  mahfil-e-dil  meñ
mire  hāthoñ  meñ  jaise  ḳhud  ba-ḳhud-paimāna  aatā  hai
ḳhirad  vaalo  ḳhabar  bhī  hai  kabhī  aisā  bhī  hotā  hai
junūñ  kī  justujū  meñ  aap  hī  vīrāna  aatā  hai
kabhī  qasd-e-haram  ko  jab  qadam  apnā  uThātā  huuñ
mire  har  ik  qadam  par  ik  nayā  but-ḳhāna  aatā  hai
dar-e-jānāñ  se  aatā  huuñ  to  log  aapas  meñ  kahte  haiñ
faqīr  aatā  hai  aur  bā-shaukat-e-shāhāna  aatā  hai
dakan  kī  hiir  se  'āzād'  koī  jā  ke  ye  kah  de
ki  rāñjhe  ke  vatan  se  aaj  ik  dīvāna  aatā  hai
vahī  zikr-e-dakan  hai  aur  vahī  furqat  kī  bāteñ  haiñ
tujhe  'āzād'  koī  aur  bhī  afsāna  aatā  hai