muddat  ho  ga.ī  sāz-e-mohabbat  khol  de  ab  ye  raaz
vo  merī  āvāz  haiñ  bāñhoñ  meñ  un  kī  āvāz
kitnī  manāzil  tai  kar  aayā  merā  shauq-e-niyāz
ai  nazroñ  se  chhupne  vaale  ab  to  de  āvāz
kyuuñ  har  gaam  pe  merā  dil  hai  sajdoñ  pe  majbūr
kyā  nazdīk  kahīñ  hai  terī  jalva-gāh-e-nāz
asl  meñ  ek  hī  kaifiyyat  kī  do  tasvīreñ  haiñ
terā  kibr-o-nāz  ho  yā  ho  merā  jazb-e-niyāz