jalva  tirā  is  tarah  se  nākām  na  hotā
ham  tuur  pe  hote  to  ye  anjām  na  hotā
suntā  maiñ  kahāñ  vā.iz-e-nādān  kī  nasīhat
gar  vāz-o-nasīhat  meñ  tirā  naam  na  hotā
ġhunche  kī  chaTak  dil  kī  tahoñ  meñ  na  utartī
is  meñ  jo  nahufta  tirā  paiġhām  na  hotā
ye  rizq  kī  hai  kor-nigāhī  kī  nahīñ  baat
daana  bhī  na  hotā  jo  kahīñ  daam  na  hotā
kaTtā  bhalā  kyūñkar  shab-e-furqat  kā  añdherā
palkoñ  pe  charāġhāñ  jo  sar-e-shām  na  hotā
'āzād'  nasheman  se  qafas  meñ  jo  na  aate
is  vaqt  jo  hāsil  hai  vo  ārām  na  hotā