mumkin  nahīñ  ki  bazm-e-tarab  phir  sajā  sakūñ
ab  ye  bhī  hai  bahut  ki  tumheñ  yaad  aa  sakūñ
ye  kyā  tilism  hai  ki  tirī  jalva-gāh  se
nazdīk  aa  sakūñ  na  kahīñ  duur  jā  sakūñ
zauq-e-nigāh  aur  bahāroñ  ke  darmiyāñ
parde  gire  haiñ  vo  ki  na  jin  ko  uThā  sakūñ
kis  tarah  kar  sakoge  bahāroñ  ko  mutma.in
ahl-e-chaman  jo  maiñ  bhī  chaman  meñ  na  aa  sakūñ
terī  hasīñ  fazā  meñ  mire  ai  na.e  vatan
aisā  bhī  hai  koī  jise  apnā  banā  sakūñ
'āzād'  sāz-e-dil  pe  haiñ  raqsāñ  vo  zamzame
ḳhud  sun  sakūñ  magar  na  kisī  ko  sunā  sakūñ