maiñ  dil  meñ  un  kī  yaad  ke  tūfāñ  ko  paal  kar
laayā  huuñ  ek  mauj-e-taġhazzul  nikāl  kar
paimāna-e-tarab  meñ  kahīñ  baal  aa  gayā
maiñ  garche  pī  rahā  thā  bahut  hī  sambhāl  kar
mahfil  jamī  huī  hai  tirī  raah  meñ  koī
ai  gardish-e-zamāna  bas  itnā  ḳhayāl  kar
āzād  jins-e-dil  ko  faqat  ik  nazar  pe  bech
saudā  girāñ  nahīñ  na  bahut  qīl-o-qāl  kar
ḳhat  ke  javāb  meñ  na  lagā  itnī  der  tū
merā  agar  nahīñ  hai  to  apnā  ḳhayāl  kar
kyuuñ  maiñ  ne  dil  diyā  hai  kise  maiñ  ne  dil  diyā
ai  aql  aaj  mujh  se  na  itne  savāl  kar
ai  dil  ye  rāh-e-ishq  hai  rāh-e-ḳhirad  nahīñ
is  par  qadam  baḌhā  tū  zarā  dekh  bhaal  kar
phir  ishq  bazm-e-husn  kī  jānib  ravāñ  hai  aaj
dīvāngī  ko  aql  ke  sāñche  meñ  Dhaal  kar
'āzād'  phir  dakan  kā  samundar  hai  aur  tū
le  jā  dil  o  nazar  kā  safīna  sambhāl  kar