koī  iz.hār-e-ġham-e-dil  kā  bahāna  bhī  nahīñ
ho  bahāna  bhī  jo  koī  to  zamāna  bhī  nahīñ
zindagī  tujh  ko  jo  samjhā  huuñ  to  itnā  hī  faqat
tū  haqīqat  bhī  nahīñ  aur  fasāna  bhī  nahīñ
ḳhāmushī  fikr  kā  mamba.a  bhī  hai  aur  baat  ye  hai
sāf-goī  kā  azīzo  ye  zamāna  bhī  nahīñ
ik  ḳhazāna  thā  mirā  'josh'-malīh-ābādī
ab  to  'āzād'  vo  hāthoñ  meñ  ḳhazāna  bhī  nahīñ
aaj  ke  daur  meñ  'āzād'  ġhanīmat  hai  bahut
tum  use  yaad  na  rakhnā  to  bhulānā  bhī  nahīñ