ik  nazar  hī  dekhā  thā  shauq  ne  shabāb  un  kā
din  ko  yaad  hai  un  kī  raat  ko  hai  ḳhvāb  un  kā
gir  ga.e  nigāhoñ  se  phuul  bhī  sitāre  bhī
maiñ  ne  jab  se  dekhā  hai  ālam-e-shabāb  un  kā
nāsehoñ  ne  shāyad  ye  baat  hī  nahīñ  sochī
ik  taraf  hai  dil  merā  ik  taraf  shabāb  un  kā
ai  dil  un  ke  chehre  tak  kis  tarah  nazar  jaatī
nuur  un  ke  chehre  kā  ban  gayā  hijāb  un  kā
ab  kahūñ  to  maiñ  kis  se  mere  dil  pe  kyā  guzrī
dekh  kar  un  āñkhoñ  meñ  dard-e-iztirāb  un  kā
hashr  ke  muqābil  meñ  hashr  hī  saf-ārā  hai
is  taraf  junūñ  merā  us  taraf  shabāb  un  kā