yuuñ  ik  sabaq-e-mehr-o-vafā  chhoḌ  ga.e  ham
har  raah  meñ  naqsh-e-kaf-e-pā  chhoḌ  ga.e  ham
duniyā  tire  qirtās  pe  kyā  chhoḌ  ga.e  ham
ik  husn-e-bayāñ  husn-e-adā  chhoḌ  ga.e  ham
māhaul  kī  zulmāt  meñ  jis  raah  se  guzre
qindīl-e-mohabbat  kī  ziyā  chhoḌ  ga.e  ham
begāna  rahe  dard-e-mohabbat  kī  davā  se
ye  dard  hī  kuchh  aur  sivā  chhoḌ  ga.e  ham
thī  sāmne  ālā.ish-e-duniyā  kī  bhī  ik  raah
vo  ḳhūbi-e-qismat  se  zarā  chhoḌ  ga.e  ham
ik  husn-e-dakan  thā  ki  nigāhoñ  se  na  chhūTā
har  husn  ko  varna  ba-ḳhudā  chhoḌ  ga.e  ham