nashe  meñ  huuñ  magar  ālūda-e-sharāb  nahīñ
ḳharāb  huuñ  magar  itnā  bhī  maiñ  ḳharāb  nahīñ
kahīñ  bhī  husn  kā  chehrā  tah-e-naqāb  nahīñ
ye  apnā  dīda-e-dil  hai  ki  be-hijāb  nahīñ
vo  ik  bashar  hai  koī  nūr-e-āftāb  nahīñ
maiñ  kyā  karūñ  ki  mujhe  dekhne  kī  taab  nahīñ
ye  jis  ne  merī  nigāhoñ  meñ  uñgliyāñ  bhar  diiñ
to  phir  ye  kyā  hai  agar  ye  tirā  shabāb  nahīñ
mire  surūr  se  andāza-e-sharāb  na  kar
mirā  surūr  ba-andāza-e-sharāb  nahīñ