mirī  chashm-e-tamāshā  ab  jahāñ  hai
tajallī  kārvāñ  dar  kārvāñ  hai
yaqīñ  hai  āḳhirī  manzil  gumāñ  kī
yaqīñ  kī  āḳhirī  manzil  gumāñ  hai
vo  mujh  se  duur  to  itne  nahīñ  haiñ
faqat  ik  be-yaqīnī  darmiyāñ  hai
ye  raaz  ahl-e-fuġhāñ  par  faash  kar  do
ḳhamoshī  bhī  ik  andāz-e-fuġhāñ  hai
ye  mīr-e-kārvāñ  se  koī  kah  de
ki  maiñ  huuñ  aur  talāsh-e-kārvāñ  hai