Fayyaz Uddin Saieb

tumhaare zulm ki miad ghaT bhi sakti hai

Fayyaz Uddin Saieb

Karachi, Sindh, Pakistan

1963
tumhāre zulm kī mī.ād ghaT bhī saktī hai
ye mere paañv kī zanjīr kaT bhī saktī hai
jo sach kahā hai to is kī sazā bhī jāntā huuñ
mujhe ḳhabar hai zabāñ merī kaT bhī saktī hai
diloñ ke beach jo duurī hai us ko ḳhatm kareñ
ye sarhadoñ kī rukāvaT to haT bhī saktī hai
mujhe shikast nazar aa rahī hai ḳhud apnī
magar yaqīn hai baazī palaT bhī saktī hai
mirī nazar ko na āmāda-e-nazāra kar
mirī nazar tire ruḳh se lipaT bhī saktī hai
Top Urdushayar.com