Fayyaz Uddin Saieb

aag barasti lagti hai diwaron se

Fayyaz Uddin Saieb

Karachi, Sindh, Pakistan

1963

aag barastī lagtī hai dīvāroñ se

'sā.ib' kyā likh aa.e ho añgāroñ se

qatl ke ba.ad mujhe saa.e meñ Daal aate

itnī to ummīd thī mujh ko yāroñ se

merā dukh-sukh bāñTne to aa jaate haiñ

ham-sā.e achchhe haiñ rishte-dāroñ se

dekh lo apnā sar rakkhā hai nezoñ par

fāsla ham ne rakkhā hai dastāroñ se

āḳhir kab tak qatl ḳhabreñ paḌhnī haiñ

ab to vahshat hotī hai aḳhbāroñ se

Top Urdushayar.com