Zuhoor-ul-Islam Javed

kabhi jabr-o-sitam ke ru-ba-ru sar KHam nahin hota

Zuhoor-ul-Islam Javed

kabhī jabr-o-sitam ke rū-ba-rū sar ḳham nahīñ hotā
mirā jazb-e-sadāqat ġhair-mustahkam nahīñ hotā
saroñ kī fasl kaTne kā ye mausam to nahīñ lekin
saroñ kī fasl kaTne kā koī mausam nahīñ hotā
jinheñ aatā ho fan auroñ ke ġham apnā.e jaane kā
unheñ tā-zindagī duniyā meñ koī ġham nahīñ hotā
hamāre daur meñ ab nafsā-nafsī kā ye aalam hai
janāze roz uThte haiñ magar mātam nahīñ hotā
zabāñ ke tāziyāne se kaleje par jo lagtā hai
vo aisā zaḳhm hai jis kā koī marham nahīñ hotā
milī aslāf se 'jāved' mujh ko sidq kī daulat
sulūk-e-nāravā se bhī ye jazba kam nahīñ hotā
Top Urdushayar.com