Zuhoor-ul-Islam Javed

falak ko fikr koi mehr-o-mah tak pahonche

Zuhoor-ul-Islam Javed

falak ko fikr koī mehr-o-māh tak pahoñche

hameñ ye zo.am ki ham vaah vaah tak pahoñche

unheñ na rakh karam nigāh se mahrūm

jo luT-luTā ke tirī bārgāh tak pahoñche

huā na ham se mudāvā-e-dard-e-nau-e-bashar

bahut chale to savāb-o-gunāh tak pahoñche

na jaane kab se huuñ sargarm-e-justujū ai dost

na jaane kab ruḳh-e-manzil nigāh tak pahoñche

vufūr-e-shauq meñ ye ehtiyāt ho na sakī

ki aarzū na hamārī nigāh tak pahoñche

hamārī ziist rūdād-e-gul ye hai 'jāved'

ki mai-kade se chale ḳhānqāh tak pahoñche

Top Urdushayar.com