ye  tasavvur  kā  vaar  jhūTā  hai
ḳhvāb  jhūTe  haiñ  saar  jhūTā  hai
phuul  tum  toḌ  laa.e  shāḳhoñ  se
kyā  bahāroñ  se  pyaar  jhūTā  hai
āñkhoñ  meñ  kuchh  zabān  par  kuchh  hai
terā  kirdār  yaar  jhūTā  hai
saarī  gustāḳhiyāñ  rahīñ  qaa.em
us  pe  rutba  vaqār  jhūTā  hai
lāpata  huuñ  maiñ  ghar  nahīñ  koī
chiTThī  jhūTī  hai  taar  jhūTā  hai
maut  se  tez  dauḌ  kis  kī  hai
umr  par  shahsavār  jhūTā  hai
dhuup  ke  shuul  bikhre  haiñ  har  suuñ
chāñdnī  kā  ḳhumār  jhūTā  hai
āñkhoñ  meñ  rakh  hunar  takallum  kā
lafzoñ  par  e'tibār  jhūTā  hai
bār-e-ḳhātir  hai  ham  ko  fikr-e-zīst
hasratoñ  kā  mazār  jhūTā  hai
TūTnā  aa.ine  kī  fitrat  hai
pattharoñ  se  qarār  jhūTā  hai
'chāñd'  kab  tak  karoge  dil  kā  yaqīñ
aap  kā  intizār  jhūTā  hai