Kamran Nadeem

rida-e-jaan pe dohra azab bunta hun

Kamran Nadeem

ridā-e-jān pe dohrā azaab buntā huuñ
maiñ roz jāgtī āñkhoñ meñ ḳhvāb buntā huuñ
ḳhayāl-e-husn kī maḳhmal pe tār-e-imkāñ se
kabhī gulāb kabhī māhtāb buntā huuñ
ġhubār-e-ḳhātir-e-paiham se bujh bhī jā.ūñ agar
shab-e-siyah meñ koī āftāb buntā huuñ
libās-e-shauq to muddat kā tār-tār huā
qabā-e-dard pe ab pech-o-tāb buntā huuñ
tilism-e-zulf kī lahreñ Dubo hī detī haiñ
kanār-e-shām jab mauj-e-sharāb buntā huuñ
kabhī maiñ bām-e-mah-e-nau pe Dāltā huuñ kamand
kabhī maiñ ḳhema-e-shahr-e-hijāb buntā huuñ
sulag uThe hai jo sahrā bhī pā-e-vahshat se
to kār-gāh-e-junūñ par sahāb buntā huuñ
jab ek ḳhvāb kā maḳhmal ho tār-tār 'nadīm'
maiñ dasht-e-vahm meñ phir ik sarāb buntā huuñ
Top Urdushayar.com