Sarshaar buland Shahri

ab maut se bachae kahan zist kya majal

Sarshaar buland Shahri

ab maut se bachā.e kahāñ ziist kyā majāl
phaile hue haiñ jism meñ niilī ragoñ ke jaal
yuuñ to nahīñ ki umr gañvā.ī hai dhuup meñ
phabtī sī kas rahe haiñ ye sar ke safed baal
mohlat kise mile hai yahāñ lab-kushā.ī kī
āñkhoñ meñ naach naach ke thakte rahe savāl
malbūs to badan se kabhī kā utar chukā
tab lutf aa.e jism se khiñch jaa.e aur khaal
'sarshār' aao dekheñ to ye kaun shaḳhs hai
ik haath meñ kitāb hai ik haath meñ kudāl
Top Urdushayar.com