Hamid Sarosh

raat kaTi hai jag kar baba

Hamid Sarosh

raat kaaTī hai jaag kar baabā
din guzārā hai daar par baabā
haath aayā na raushnī kā sarāb
duur thā chāñd kā nagar baabā
apne markaz se duur ho kar ham
ho ga.e aur dar-ba-dar baabā
choT khā kar sambhal na paa.e ham
phuul pheñkā thā taak kar baabā
ham faqīroñ meñ mil ke baiTh kabhī
taḳht-e-tā.ūs se utar baabā
rāstoñ ke azaab se Dar kar
yuuñ na har har qadam pe mar baabā
thī dhanak duur āsmānoñ meñ
aur ham the shikasta-par baabā
Top Urdushayar.com