dilā  ye  mai-kada-e-ishq  hai  sharāb  tū  pī
sharāb  agar  nahīñ  ḳhūn-e-dil-e-ḳharāb  tū  pī
bahe  jo  dhaar  dam-e-teġh  se  na  jā  pyāsā
sabīl-e-nazr-e-shahīdāñ  yahī  hai  aab  tū  pī
ba-rañg-e-shabnam-e-gul  dāġh-e-ishq  se  dil  par
jo  gul  na  khaa.e  to  be-ḳhud  na  ho  gulāb  tū  pī
na  āftāb-e-qayāmat  se  Dar  mai-e-gul-rañg
kare  chaman  meñ  agar  sair  māhtāb  tū  pī
valā  ye  jām-e-mai-e-nāb  barq-o-bārāñ  meñ
jo  jām-e-jam  se  hai  maanā  ba-āb-o-tāb  tū  pī
sharāb  jauhar-e-ātish  hai  aql  hai  sīmāb
ye  le  uḌe  hai  agar  us  kī  laa.e  taab  tū  pī
rasīd-e-qatra  ba-dariyā  hai  mai  se  bhar  bhar  ke
surāhī-e-guhar-o-kāsa-e-habāb  tū  pī
naqāb  muñh  se  uThā  āftāb  abr  meñ  hai
miyāñ  piyāla  jo  piinā  hai  be-hijāb  tū  pī
hai  abr-e-sāya-e-rahmat  gunāhgāroñ  par
piyāla  ho.e  agar  rash.ha-e-sahāb  tū  pī
jigar  jale  to  na  girne  de  aañkh  se  aañsū
ba-az-sharāb  ye  ḳhūñ-nāba-e-kabāb  tū  pī
rahegā  mast  tah-e-ḳhāk  daur-e-mahshar  tak
'muhib'  man-e-mai-e-ishq-e-abū-turāb  tū  pī