ai  dil  aatā  hai  chaman  meñ  vo  sharābī  tū  pahuñch
le  ke  piyāla  gul  kā  ġhuncha  kī  gulābī  tū  pahuñch
bhar  ke  sāġhar  kījiye  ḳhālī  ġham-e-daurāñ  se  dil
ab  na  kar  tāḳhīr  ai  saaqī  shitābī  tū  pahuñch
pahne  qāsid  jab  talak  yak-bār  sharh-e-ishtiyāq
le  kar  ai  betāb  dil  kī  iztirābī  tū  pahuñch
ḳhvāhish-e-dil  hai  ki  kiije  sair-e-aqlīm-e-junūñ
Tuk  madad  ko  us  kī  ai  ḳhāna-ḳharābī  tū  pahuñch
jaa.e  hai  tanhā  shab-e-tārīk  meñ  vo  mehr-vash
āh-e-ātish-bār  le  kar  māhtābī  tū  pahuñch
tā  na  phir  shā.ir  likheñ  tausīf-e-bālā-e-butāñ
misra.a-e-mauzūn-o-sher-e-intiḳhābī  tū  pahuñch
jalva-farmā  aaj  hai  taḳht-e-chaman  par  shāh-e-gul
le  kar  ai  paik-e-sabā  chatr-sahābī  tū  pahuñch
musht-e-ḳhāk  apnī  ko  aalam  meñ  na  zaa.e.a  kar  aziiz
hind  se  le  tā-najaf  ai  bū-turābī  tū  pahuñch
ai  'muhib'  ḳhvāhish  gazak  kī  ho  jo  is  mai-ḳhvār  ko
hai  tirā  siina  to  dūkān-e-kabābī  to  pahuñch