mohabbat  se  tarīq-e-dostī  se  chaah  se  māñgo
mire  sāhab  kisī  se  dil  jo  māñgo  raah  se  māñgo
ga.e  farhād-o-qais  un  kā  nazīr  ik  maiñ  jahāñ  meñ  huuñ
azīzāñ  ḳhair  baaqī  māndgāñ  allāh  se  māñgo
ḳhat  us  kāfir  ne  qatl-e-ām  kā  farmāñ  nikālā  hai
musalmāno  panāh  us  āfat-e-nāgāh  se  māñgo
agar  hai  azm  rūm-o-zañg  kī  tasḳhīr  kā  baare
kumak  tum  añkhḌiyoñ  apnī  kī  nādir-shāh  se  māñgo
numūd  ai  āshiqo  gar  ma.arke  meñ  ishq  ke  chāho
to  māñgo  tabl  naale  se  alam-dār  aah  se  māñgo
nazar  sab  kuchh  paḌe  uTh  jaa.e  ġhaflat  kā  agar  parda
jahāñ  kī  diid  kī  ruḳhsat  dil-e-āgāh  se  māñgo
milūñ  maiñ  yaar  se  phir  aap  ke  dhāḌī  hai  aur  sandal
duā.eñ  shaiḳh  jī  pīroñ  kī  tum  dargāh  se  māñgo
dimāġh  us  kā  falak  par  hai  abas  ḳhajlat-zada  hoge
miyāñ  dil  sunte  ho  bosa  na  tum  us  maah  se  māñgo
ma.āl-e-kār  us  kā  ḳhaak  hai  juz  ḳhvārī-o-zillat
amaañ  ai  dosto  duniyā  meñ  hubb-e-jāh  se  māñgo
sivā  ik  māl-o-zar  ke  jān-o-dil  hai  dīn-o-īmāñ  hai
tumheñ  jo  chāhiye  is  apne  daulat-ḳhvāh  se  māñgo
liye  aur  gum  kiye  lākhoñ  hī  us  ne  ye  nahīñ  hotā
'muhib'  dil  de  ke  phir  us  shoḳh-e-be-parvāh  se  māñgo