ba-tasḳhīr-e-butāñ  tasbīh  kyuuñ  zāhid  phirāte  haiñ
ye  lohe  ke  chane  vallāh  āshiq  hī  chabāte  haiñ
banī  hai  juuñ  guhar-sūrat  suḳhan  kī  ahl-e-ma.anī  se
ye  nādāñ  kahne  sunñe  ko  abas  bāteñ  banāte  haiñ
sadā  se  ishq  kī  lai  bhar  rahī  hai  jin  ke  kānoñ  meñ
vo  kab  sunte  haiñ  ye  nāseh  jo  apnā  raag  gaate  haiñ
bahār  aa.ī  na  chhūTe  ham  qafas  se  ham-safīr  apne
chaman  meñ  chahchahe  karte  haiñ  aur  dhūmeñ  machāte  haiñ
ḳhudā  se  dostī  terī  magar  ham  ko  milā  degī
sanam  nā-haq  tire  ham  roz  naktonDe  uThāte  haiñ
koī  kaisā  hī  rūThā  ho  bulā  lete  haiñ  ik  pal  meñ
ye  zālim  ḳhūb-rū  sammukh  ho  jab  āñkheñ  laḌāte  haiñ
sabā  kis  gul  ke  aane  kī  ḳhushī  aisī  hai  gulshan  meñ
ki  gul  jaame  meñ  aaj  apne  nahīñ  phūle  samāte  haiñ
hañsāte  haiñ  tujhe  sākin  chaman  ke  kis  ḳhushāmad  se
ki  bulbul  hai  ġhazal-ḳhvāñ  chuTkiyāñ  ġhunche  bajāte  haiñ
ham  apne  dil  kī  hālat  kyā  kaheñ  bin  maut  marte  haiñ
tujhe  Tuk  dekh  lete  haiñ  to  goyā  jaan  paate  haiñ
garebāñ  kā  hamāre  nāsehā  mauqūf  kar  siinā
ki  ham  siine  kā  apne  zaḳhm-e-kārī  kab  silāte  haiñ
ummīd  aane  kī  us  ayyār  ke  ham  ko  nahīñ  hargiz
ḳhayāl-e-ḳhām  par  apnī  abas  chhātī  pakāte  haiñ
tamāshā  shaiḳh  jī  ke  haal  kā  hai  tohfa  majlis  meñ
zañbūrī  haiñ  murīd  aur  chauk  meñ  bandar  nachāte  haiñ
ham  aisī  goliyāñ  kachchī  nahīñ  khele  haiñ  ye  laḌke
jo  chuTiyāle  hue  haiñ  Tīp-Tāp  un  ko  dikhāte  haiñ
diloñ  ke  aa.ine  ab  ban  ga.e  haiñ  sañg-o-āhan  ke
ki  mil  kar  jī  meñ  jagah  deñ  bichhaḌ  kar  bhuul  jaate  haiñ
bahut  maare  ga.e  vaañ  aur  bahut  zaḳhmī  hue  tis  par
'muhib'  kūche  meñ  us  ke  aaj  ham  phir  dil  jalāte  haiñ