hamārī  chaah  sāhab  jānte  haiñ
kahūñ  kyā  aah  sāhab  jānte  haiñ
jalānā  āshiqoñ  kā  jaan  ai  jaañ
qayāmat  vaah  sāhab  jānte  haiñ
bhalā  dene  kī  zulfoñ  meñ  diloñ  ko
nirālī  raah  sāhab  jānte  haiñ
tumhārī  mast  āñkhoñ  se  hai  be-ḳhud
jise  āgāh  sāhab  jānte  haiñ
tumhāre  mukhḌe  kī  zarra  jhalak  hai
ki  jis  ko  maah  sāhab  jānte  haiñ
milo  ham  se  vagarna  phir  kisī  roz
kabhī  nāgāh  sāhab  jānte  haiñ
'muhib'  be-tarah  kuchh  tum  se  kahegā
vahī  tiir  aah  sāhab  jānte  haiñ