rā.egāñ  auqāt  kho  kar  haif  khānā  hai  abas
ḳhūb-rūyoñ  se  jahāñ  ke  dil  lagānā  hai  abas
kārgar  hogā  tirā  afsūñ  ye  bāvar  hai  tujhe
us  parī  par  ai  dil-e-vahshī  divānā  hai  abas
jiite  phir  aane  kī  pahle  rakh  tavaqqo  dil  se  duur
varna  kūche  meñ  sitam-gāroñ  ke  jaanā  hai  abas
ḳhaak  ho  kar  ek  sūrat  hai  gadā-o-shāh  kī
gar  muāfiq  tujh  se  ai  mun.im  zamānā  hai  abas
yaad  kis  ko  rahm  jī  meñ  kab  dimāġh-o-dil  kahāñ
yaañ  na  aane  kā  mire  sāhab  bahānā  hai  abas
dil-shikan  hai  sub.h-dam  terā  hī  gulchīñ  baaġh  meñ
āshiyāñ  ai  andalīb  us  jā  banānā  hai  abas
ai  gul-e-ḳhandāñ  sabāt-e-umr  hai  shabnam  se  kam
yaañ  bahār-e-rañg  par  hañsnā  hañsānā  hai  abas
vaañ  phire  haiñ  tarkash-e-mizhgāñ  talāsh-e-said  par
yaañ  tirā  dil  tīr-e-hasrat  kā  nishānā  hai  abas
aabrū  kahte  haiñ  jis  ko  hai  'muhib'  ik  qatra  aab
jab  Dhalak  jaave  to  phir  us  kā  uThānā  hai  abas