yuuñ  ghar  se  mohabbat  ke  kyā  bhaag  chale  jaanā
kuchh  is  meñ  samajhtā  hai  de  aag  chale  jaanā
tā-shahr-e-adam  ham  ko  mushkil  nazar  aatā  hai
ālā.ish-e-hastī  se  be-lāg  chale  jaanā
kūche  se  tire  gaahe  ghar  shab  ko  jo  aatā  huuñ
phir  sub.h  hue  sote  uTh  jaag  chale  jaanā
us  zulf  ke  af.ī  ne  maarā  hai  jise  us  ke
ashk  aañkh  se  aur  muñh  se  haiñ  jhaag  chale  jaanā
jaate  to  ho  mai-ḳhāne  masjid  meñ  bhī  yak  saa.at
vaa.iz  kā  muhib  sunte  khaḌDāg  chale  jaanā