sanam  ne  jab  lab-e-gauhar-fashān  khol  diye
sadaf  ke  mauj-e-tabassum  ne  kaan  khol  diye
tirī  nasīm-e-tabassum  ne  ġhuncha  saañ  dil  ke
jo  uqde  band  the  ānān-fān  khol  diye
sarishk-e-chashm  ne  kar  shahr-e-band-e-dil  ko  ḳharāb
tamām  ishq  ke  rāz-e-nihān  khol  diye
ye  kis  kī  kāvish-e-mizhgāñ  ne  dil  se  tā-sar-e-chashm
hazār  chashma-e-āb-e-ravān  khol  diye
chaman  chaman  tire  aariz  ke  rañg-e-hasrat  ne
ba-chashm-e-gul  mizha-e-ḳhūñ-chakān  khol  diye
nikālūñ  dil  se  maiñ  naale  kī  kis  tarah  āvāz
tirī  nigah  ne  ajab  surma-dān  khol  diye
havā-e-ḳhāk-nashīnī  ne  be-ġhubār  'muhib'
nazar  meñ  parda-e-haft-āsmān  khol  diye