tarvār  khīñch  ham  ko  dikhāte  ho  jab  na  tab
kyā  mar  rahe  javāñ  ko  satāte  ho  jab  na  tab
taqsīr  ham  se  kaun  sī  aisī  huī  vuqūa
muñh  par  jo  haath  mere  dhirāte  ho  jab  na  tab
az-bas  mizāj  ham  se  tumhārā  kashīda  hai
āzurda  baat  meñ  hue  jaate  ho  jab  na  tab
ab  to  rakhā  hai  kaaT  hamārā  ye  aap  ne
ġhairoñ  se  mil  patañg  uḌāte  ho  jab  na  tab
ik  baat  kā  hamārī  batañgaḌ  banāte  ho
sau  jhuuT  sach  ko  apne  chhupāte  ho  jab  na  tab
ai  vā.izo  ye  kyā  tumheñ  bakvās  lag  ga.ī
merī  suno  tum  apnī  hī  gaate  ho  jab  na  tab
ham  dard-e-dil  kaheñ  to  javāb  is  maze  se  do
qissa  'muhib'  ye  kis  ko  sunāte  ho  jab  na  tab