ai  ham-damāñ  bhulāo  na  tum  yād-e-raftagāñ
vāmāñdgāñ  ko  hai  yahī  irshād-e-raftagāñ
jo  ġhuncha  nā-shagufta  hī  jhaḌ  jaa.e  shāḳh  se
hai  is  chaman  meñ  vo  dil-e-nāshād-e-raftagāñ
chashm-o-dil-o-jigar  ke  liye  ashk-e-dard-o-dāġh
ham  paas  hai  ye  tohfa-e-imdād-e-raftagāñ
is  kārvāñ-sarā  meñ  ye  bāñg-e-jaras  nahīñ
hai  ye  sadā-e-nāla-o-faryād-e-raftagāñ
āsīda-o-ravinda  se  pūchhā  bahut  'muhib'
daryāft  par  na  kuchh  huī  rūdād-e-raftagāñ