mai-e-gul-gūñ  ke  jo  shīshe  meñ  parī  rahtī  hai
chash-mastoñ  meñ  ajab  jalvagarī  rahtī  hai
hai  phañdīt  ek  vo  bāñkā  ki  laḌe  jab  tak  aañkh
mardumak  panja-e-mizhgāñ  meñ  bharī  rahtī  hai
baaġh  meñ  jab  vo  gul-e-tāza-bahār  aatā  hai
bū-e-gul  phir  to  havā  par  hī  dharī  rahtī  hai
naala  bulbul  hai  chaman-zār  hai  dil  dāġhoñ  se
aah  tā-sub.h  nasīm-e-saharī  rahtī  hai
mohtasib  duḳhtar-e-raz  ham  se  jo  tū  aaj  milā.e
bazm-e-mastoñ  meñ  tirī  mo'tabarī  rahtī  hai
saltanat  faqr  kī  jin  ko  hī  nahīñ  pesh-e-nigāh
kauḌī  aur  ashrafī  yaksāñ-nazarī  rahtī  hai
lab-o-chashm  apne  haiñ  ik  ālam-e-ḳhushkī-o-tarī
ishq  meñ  saltanat-e-bahr-o-bahrī  rahtī  hai
ashk-bārī  se  ġham-o-dard  kī  khetī-bāḌī
lahlahī  sī  nazar  aatī  hai  harī  rahtī  hai
rū  tirā  kuhl  basar  ho  na  use  to  be-vaj.h
chashm  meñ  aa.ine  ke  be-basarī  rahtī  hai
aabrū  paatī  thī  ḳhushkī  ba-kamāl  istiġhnā
āb-e-dariyā  ke  na  hone  meñ  tarī  rahtī  hai
tosha-ḳhāna  hai  tirā  gumbad-e-gardūñ  jis  meñ
mehr-o-mah  se  tirī  dastār  zarī  rahtī  hai
hai  jo  aġhyār  ke  har  dam  kī  tirī  āmad-o-shud
jism  meñ  jaan  hamārī  safarī  rahtī  hai
dīn-o-dil  bikte  haiñ  hote  haiñ  ġham-e-dard  ḳharīd
tire  kūche  meñ  lagī  ik  guzrī  rahtī  hai
be-nishāñ  zaḳhm  se  us  tīr-e-nigah  ke  dil  meñ
dard  rahtā  hai  na  paikāñ  na  sarī  rahtī  hai
dil  ko  bhī  Dūbtī  kyūñkar  na  nazar  aa.e  'muhib'
kashtī-e-chashm  to  paanī  se  bharī  rahtī  hai