bulbul  bajā.e  apne  tujhe  ham-navā  se  bahs
vāshud  meñ  gul  kī  mahz  ġhalat  hai  sabā  se  bahs
ā.īne  ko  na  chāhiye  āshiq  ke  dil  ke  saath
bar-aks  apnī  shakl  ke  rū-e-safā  se  bahs
ab  to  ġhurūr-e-husn  hai  aisā  butāñ  tumheñ
mutlaq  mahall-e-ḳhauf  nahīñ  hai  ḳhudā  se  bahs
mab.has  se  us  maqām  ke  ḳhārij  hai  daḳhl-e-ġhair
jab  āshnā  ko  aan  paḌe  āshnā  se  bahs
bulbul  hazār  naġhma-sarā  ho.e  baaġh  meñ
kab  kar  sake  hai  nāla-e-dil  kī  sadā  se  bahs
daanā  na  us  ko  samjhiye  jo  ġhair  ḳhāmushī
dil  ḳhasta  ho  falak  ke  kare  āsiyā  se  bahs
kab  sham.a  tere  husn  ke  sho.ale  ke  rū-ba-rū
mahfil  meñ  kar  sake  kam-o-besh-e-ziyā  se  bahs
tausan  ne  terī  nāzukī  gulshan  meñ  ḳhatm  kī
aaj  āb-o-rañg-e-gul  kī  havas  par  havā  se  bahs
gulshan  meñ  chaak  pairahan-e-gul  kiyā  'muhib'
bulbul  ne  kar  ke  us  but-e-gulgūñ-qabā  se  bahs