miltī  hai  use  gauhar-e-shab-tāb  kī  mīrās
lī  mujh  dil-e-sad-pāra  ne  sīmāb  kī  mīrās
hasrat  se  tirī  chashm  kī  nargis  ne  chaman  meñ
paa.ī  hai  kisī  dīda-e-be-ḳhvāb  kī  mīrās
yaañ  jo  dil-e-raushan  ki  vo  ḳhālī  hai  ḳhudī  se
pahuñchā.ī  falak  ne  use  mahtāb  kī  mīrās
ik  bīḌā-e-pāñ  haath  se  tū  apne  jo  baḳhshe
tuutī  ko  mile  ġhaib  se  surḳhāb  kī  mīrās
pasañg  haiñ  la.al  us  ke  bhī  jis  sañg  ko  pahuñche
ik  qatra  mire  ashk  ke  ḳhūñbāb  kī  mīrās
ro-ro  ke  mirī  chashm  ne  is  bahr-e-jahāñ  se
lī  ḳhāna-ḳharābī  ke  liye  aab  kī  mīrās
ye  dard-o-ġham-e-ishq  dilā  jaan  ġhanīmat
pahuñchī  tirī  hub  se  tujhe  ahbāb  kī  mīrās
dariyā-e-mohabbat  se  'muhib'  le  hī  ke  chhoḌī
mujh  ashk  ne  āḳhir  dur-e-nāyāb  kī  mīrās