mire  dil  meñ  hijr  ke  baab  haiñ  tujhe  ab  talak  vahī  naaz  hai
jo  ye  jī  hī  lene  pe  hai  nazar  to  qubūl  ho  ye  namāz  hai
yahī  khoj  lene  ke  vāste  phirūñ  huuñ  maiñ  saath  nasīm  ke
ki  chaman  meñ  koī  hai  gul  kahīñ  tirī  bū  se  mahram-e-rāz  hai
koī  aur  qissa  shurūa  kar  jo  tamām  kah  sake  ham-nafas
ki  fasāna  zulf-e-siyāh  kā  shab-e-hijr  se  bhī  darāz  hai
huī  dil  meñ  jab  se  hai  shola-zan  mirī  ātish-e-ishq  kī  har  nafas
jo  patañg  o  sham.a  meñ  dekhiye  na  vo  soz  hai  na  gudāz  hai
ba-ḳhudā  ki  muddat-e-ishq  meñ  yahī  baat  farz  hai  nāsehā
ki  sanam  ke  naqsh-e-qadam  sivā  nahīñ  sajda-gāh-e-namāz  hai
na  barābar  us  ko  bhī  zāhido  gino  apne  ka.abe  kī  raah  ke
rah-e-ishq  meñ  jo  qadam  rakho  to  bahut  nasheb-o-farāz  hai
koī  shaġhl  us  se  nahīñ  bhalā  ki  'muhib'  ho  ishq  meñ  mubtalā
usī  rāh-e-haq  kā  bane  rahnumā  yahī  ishq  agarche  majāz  hai