jo  marīz  ishq  ke  haiñ  un  ko  shifā  hai  ki  nahīñ
ai  tabīb  un  kī  bhī  duniyā  meñ  davā  hai  ki  nahīñ
ḳhūb-rū  jitne  haiñ  aalam  meñ  jafākār  haiñ  sab
yaad  kyā  jāneñ  unheñ  taur-e-vafā  hai  ki  nahīñ
tañg  itnā  hai  zamāna  ki  chaman  meñ  gul  tak
sub.h-dam  chāk-garebāñ  hī  sabā  hai  ki  nahīñ
mirī  be-tābī  ke  ahvāl  ko  shab  ke  us  se
nāma-bar  tū  ne  zabānī  bhī  kahā  hai  ki  nahīñ
zulm  hai  ye  to  ki  dil  lījiye  aur  rahiye  ḳhafā
kahīñ  insāf  zamāne  meñ  rahā  hai  ki  nahīñ
shaiḳh  kahte  haiñ  mujhe  dair  na  jā  ka.aba  chal
barhaman  kahte  haiñ  kyuuñ  yaañ  bhī  ḳhudā  hai  ki  nahīñ
apne  yāroñ  meñ  koī  jā  ke  adam  se  na  phirā
kyuuñ  'muhib'  un  kī  ḳhabar  laanī  bajā  hai  ki  nahīñ