shab  na  ye  sardī  se  yaḳh-basta  zamīñ  har  tarf  hai
mah  pukāre  hai  falak-parvardagī  to  barf  hai
shāh-e-gul  kā  hukm  sayyāroñ  ke  ye  hai  baaġh  meñ
jo  na  pī  kar  aa.e  mai  naukar  nahīñ  bartarf  hai
surḳh  hai  rūmāl-e-shālī  us  ke  tahatul-jañg  tak
mus.haf  ruḳhsār  par  yā  jadval-e-shañgarf  hai
nau-ḳhatoñ  ke  dil  meñ  juz  mashq-e-sitam  tarz-e-vafā
yaksar-e-mū  ho  sake  kursī-nashīñ  kyā  harf  hai
dars-e-ilm-e-ishq  se  vāqif  nahīñ  mutlaq  faqīh
nahv  hī  meñ  mahv  hai  yā  sarf  hī  meñ  sarf  hai
mū  se  hai  bārīk  sher-o-shā.erī  ke  darmiyāñ
ma.anī-e-misrā-e-qāmat  kyā  qayāmat  zarf  hai
zāhid-e-ḳhushk-o-ḳhunuk  se  kab  ho  sohbat  un  kī  garm
ātish-e-tar  se  'muhib'  jin  kā  labālab  zarf  hai