dekhtā  kuchh  huuñ  dhyān  meñ  kuchh  hai
hai  yaqīñ  kuchh  gumān  meñ  kuchh  hai
sanam  apne  ko  ham  ḳhudā  jo  kaheñ
kab  qusūr  us  kī  shaan  meñ  kuchh  hai
kuchh  na  dekhā  kisī  makān  meñ  ham
kahte  haiñ  lā-makān  meñ  kuchh  hai
tishna-e-ḳhūñ  haiñ  la.al-e-lab  tere
surḳhī-e-rañg-e-pān  meñ  kuchh  hai
tere  dīdār  kī  havas  ke  sivā
dekh  to  merī  jaan  meñ  kuchh  hai
tū  jo  talvār  khīñche  hai  mujh  par
zaḳhm  bhī  darmiyān  meñ  kuchh  hai
dekh  to  ab  jafā-kashī  kī  taab
mujh  dil-e-nā-tavān  meñ  kuchh  hai
dekh  kar  mujh  ko  naza.a  meñ  tū  ne
na  kahā  is  javān  meñ  kuchh  hai
ham  ko  paTkā  zamīn  ke  uupar
gardish-e-āsmān  meñ  kuchh  hai
fā.eda  tujh  ko  ai  za-ḳhud  ġhāfil
fikr-e-sūd-o-ziyān  meñ  kuchh  hai
ye  zamāna  'muhib'  ba-qaul  'dard'
aan  meñ  kuchh  hai  aan  meñ  kuchh  hai