nahīñ  duniyā  meñ  sivā  ḳhār-o-ḳhas-e-kūcha-e-dost
sar-e-shorīda  kī  ḳhvāhish  ba-kulāhe  gaahe
ḳhūn-e-ushshāq  kā  da.avā  mire  qātil  tujh  par
hote  isbāt  na  dekhā  ba-gavāhe  gaahe
hai  bahār  aane  kī  kuchh  dhuum  ki  aage  to  na  thā
dil-e-dīvāna  ba-īñ  hāl-e-tabāhe  gaahe
rahte  kis  shohre  meñ  ho  tum  se  to  milnā  pyāre
ittifāqiya  hai  ba.ad  az  do  sah  maahe  gaahe
ham  tamāzat  meñ  tire  hukm  se  leñ  haiñ  saaqī
sāya-e-tāk  meñ  yak-lahza  panāhe  gaahe
ham  gadāoñ  ko  hai  taslīm-o-razā  se  sarokār
multajī  haiñ  na  ze-mun.im  ne  ze-shāhe  gaahe
be-zabāñ  kulah-e-sabzī  kī  jagah  ai  nau-ḳhat
na  ugā  ḳhaak  se  merī  par-e-kāhe  gaahe
ai  'muhib'  jurm-e-mohabbat  ke  sivā  aalam  meñ
qatl-e-āshiq  hī  sunā  hai  ba-gunāhe  gaahe