aanā  hai  to  aa  jaao  yak  aan  mirā  sāhab
ik  aan  ke  haiñ  ham  bhī  mehmān  mirā  sāhab
muddat  se  tumhārā  maiñ  sau  jaan  se  huuñ  āshiq
kyuuñ  jaan  ke  hote  ho  anjān  mirā  sāhab
ġhusse  ho  uThe  mujh  par  kyuuñ  tīr-o-kamāñ  le  kar
maiñ  hone  ko  baiThā  huuñ  qurbān  mirā  sāhab
nāgāh  sanam  yaaro  mujh  se  jo  milā  aa  kar
mujh  par  ye  ḳhudā  kā  hai  ehsān  mirā  sāhab
ye  banda  ho  yā  tum  ho  vaañ  ġhair  na  ho  koī
is  Dhab  ke  hai  milne  kā  armān  mirā  sāhab
kuchh  yaad  nahīñ  mujhe  ko  kāfir  huuñ  musalmāñ  huuñ
hai  ġham  meñ  tire  yaañ  tak  nisyān  mirā  sāhab
jo  ishq  kī  manzil  ke  haiñ  ahl-e-kamāl  un  kā
hai  shukr-o-shikāyat  meñ  nuqsān  mirā  sāhab
saaf  ā.īna-e-dil  meñ  raushan  hai  jamāl  us  kā
bar-aks  hai  ik  aalam  hairān  mirā  sāhab
sau  tarah  kahūñ  dil  kā  ahvāl  huzūr  us  ke
mere  to  nahīñ  rahne  ausān  mirā  sāhab
ham  ishq  kī  daulat  se  ik  kunj-e-qanā.at  meñ
karte  haiñ  faqīrāna  guzrān  mirā  sāhab
yaañ  had  se  qadam  bāhar  rakhne  koī  paayā  hai
is  jurm  meñ  sar  leñ  haiñ  tāvān  mirā  sāhab
munsif  ho  'muhib'  dil  meñ  is  baat  ko  Tuk  soche
jab  be-sar-o-sāmāñ  ho  insān  mirā  sāhab
kyā  saath  le  aayā  thā  le  jā.egā  kyā  yaañ  se
phir  chāhiye  kis  ḳhātir  sāmān  mirā  sāhab
ma.anī  meñ  vo  kāTeñ  haiñ  auqāt  bahut  be-ġham
jo  shaḳhs  ba-sūrat  haiñ  uryān  mirā  sāhab
shamshīr-e-barhana  ke  jauhar  nazar  aate  haiñ
insāf  kī  āñkhoñ  ke  darmyān  mirā  sāhab